Meri balcony
se Istanbul dikhta
hai.....dekha nahi kabhi,
par dikhta hai...mann
ki ankhei woh
dekh hi leti
hai jo dekhna chahti
hai, deewane nahi....hue hum ,
pure hosh mein ye
bayaan baazi chal rahi
hai....naam toh shuru
se pasand hai
iska , maasoom thei
jab se... magar dheere
dheere bade hote
rahe aur chaalak
bhi ,zyada filme
dekhte rahe, zyada
kitabe bhi padhte
rahe , gaane
bhi , baatei bhi bahut
zyada hoti gayi.....
baatei , Sahar
ka zikr zaroori hai
ab toh...... shukriya kehna
hai unko , humei
urdu sikhati hai jab kab ...
acchi dost bhi
hai humari , phir jane
kab... ....humaare sath saath
, humara Istanbul bhi
toh..... constantinople se pura
pura Istanbul ban
gaya.....
Kisi waqt
ek kavita padhi
thi, usme do aawaara
khwaab thei ,subah nilkal
padte thei ghar
se , dabe paanv , chori
chori chupke chupke KARANCHI,
FIJI, TURKI dekhne jaate
thei , raat bhar
ghumgham kar, subah
ko wapsi hoti
thi unki ,khwaab
ja sakte hai
phir hum kyu
nahi....... woh do khwab
aur jagahe teen , hum
akele, jagah bhi ek ...... Turk......
Yu toh
Istanbul mashhoor hai
apni bemisaal coffee
ke liye, turki chay
,dilkush kaaleene, pashmine , zawahraat, ilm-e-tameer
(architecture) nazartaweez,
resham, kumhaar ki
dukaano aur un
par kari gayi
behad haseen khushkhati
.... yaani behad
khoobsurti se likhna
, purani kimti cheeze
( qadeem ) aur fanoos,
ke liye bhi....yaha ka
umda raks (belly
dance) ghumaudaar, ... ghoomte reh jaoge .....ka
mazaa deta hai. Turki
gadh samajh le
aap toh isse.....
tizarat aur tehzeeb ,
Mashrik (east) aur Magrib
(west) ka beshumaar
meill .......
Bazanteen aur ottoman, sultenut
ki mili juli
bhagat jaisa lagta
hai kuch kuch
, ho bhi
kyu na, cheez
hi aisi hai , nazar
lag jaaye kisi
ki bhi...bosphorus ki
woh tang jalsandhi,..... sirf
naam ki tang , bade
dil wali hai , asaliyat mein ,
Europe aur asia
ke dil toh
jodti hi hai , lage
haath mila deti
hai behrezulmaat (black)
aur marmara samundaro
ki dhadkane bhi , humesha
humesha ke liye .........
Behrezulmaat se yadd
aayi Allama Iqbaal
ki woh nazm,
jab ek bandaa
shikwa karta hai
khuda se , bayaan
karta hai ki
kya kuch nahi
kiya usne islaam
ko lane ke
liye , kehta
hai... suniye............
Dasht toh
dasht hai
Dariya bhi
na chode humnei
Behrezulmaat mein
Douda Diye
ghode apne.
Dasht yaani
registaan aur behrezulmaat
yaani black sea
Mohabbat
toh istanbul ki
jaagir hai, Islaam
ka saaya hai
sab ........, Islaam,
mohabbat aur insaaniyat
ka mazhab...... yakeenan
hai. ......khair humei kya
humei toh matlab
hai apni balcony
se....
Dikhti hai
ekdum saaf , Haaiya sophiya (Hagiya sophiya, mosque) bhi yaha
se . chote bade
saare makaan mila
de agar, aagal
bagal wali uchi
imarte jodkar phir ,Haaiya sophiyaa hi
toh ban jaati hai...waisa hi
aasmaan , wohi sukoon ,wohi
nazara. Yu hi
nahi azzez hai is
dil ko ye,
vajah hai ...... mazboot vajah, woh
imarat hai hi itni juda
, khaas bahut
khaas kisi apne
ki tarah ..... alag
thalag rehna aata
nahi jise , ek
ho gayi , unsab se , jo
bhi iska
hone aaya, ek
zamaane mein girijaghar
hoti thi , phir dil kiya
hoga, mazjid ban
gayi ,kissa abhi
khatam kaha hua
mazhabo ka dard jab
thoda zyada ho
gaya hoga to
socha hoga issne , chalo ajayabghar
bann jate hai , sabka
dil behlayenge Kism
kism ki cheeze , kism
kism ki daastaane roz
nayi sunayenge.
Woh neeli mazaar bhi kamm mashhoor nahi ,
.. bahut
aalishaan hai, neele
rang ke pathar
jade hue hai
bheetri deewaaro par,
upar aasmaan neela ,
neeche mazaar, neele
par neela .............. jaise afeem
par afeem .... uss par
panch waqt ki
azaan puri fiza
pakeeza kar deti
hai......
Misr bazaar, badaa bazaar aur
un bazaaro mein rounak, ki
gherabandi , yaha ki behatreen
lockum, lubaan, itr,
iranikesar, tarah betrarh ke
masale aur unki
ishtehaa angez nikhat , tez
patte , zafraan, wagareh
wagereh ,biryaani ,kabaab kofte , aur
bhi bahut kuch......lekin ek
baat hai roomi
khushbooo aaj bhi
hai yahaa.....Rome ko
abhi tak bhoola
nahi...... Istanbul.....
Saher , dopaher , sepaher, se
lekar aatho paher
tak yahi hone
ka mann karta
hai ........ kyuki humari
balcony se Istanbul
dikhta hai.....dekha hai
kareeb se tasweero
mein aur google
par bhi ......
SHRUTI
wah di.... aapne kitni research ki hai urdu vocabulary par......
ReplyDelete