Janamdin par
khushi kyu hoti
hai ? ye
khushi jwalamukhi ko
dehkaane wali ? pandubbiyo
ko dubaane wali
? toofan, kohram , khamasaan, sangraam ........ jaise kyu
hoti hai.......... ?GHABRAAYE NA ,
ye woh bilkul nahi jo hum
kabhi
bhi chahte thei
ki koi bhi padhe
.. ...,ye to
woh hai humei khud ko majboor
karke likhwaya gaya tha ,
bebus bacche thei ,bichare.. ....bewkoofi darr bewkoofi likhe
ja rahe thei
,aur woh.... .. Zaalim ? humein
pani par chadhaye
ja rahe thei,
Murkhta ka itihaas
sampurna karakar hi
chain ki saans
li unhone..... janmdin
na hua jungeazzeem
hui......puraane khurafati hai (jeewan,
purana villain ka
title bhi diya
tha kisi ne unko (rakhsha bua
ne ) . ye
WOH koi
aur nai humare
apne bade bhaiya
hai , socha aaj
khud hi sareaam
kar de apne
sahitya ko ,bandhua
majuuri karte karte
thuk gaye hai ab
....., humei to saaara
yaad bhi nahi
par unhe puraa
yaaad hoga ,
humara ye Baburnama ....baat baaat
pe... chai banao ... warna ,paani
do warna ,
kitab , chashma
, ghadi pata nahi
kya.... kya lo ,
do warna.....sabko bata
denge tumne kya
likha tha.....soch lo
.....haaan soch liya
bhaiyaa...... karenge ,zaroor karenge
bs. Tum kisi se
batana mat , kya kare
, lekhak banne
ka bhoot chadha
tha un dino
(jaise aajkal phir
chadha hai) chadhe bhi
kyu na ,
bhaiya ke nakshekadam
par chalne ki kasam
jo utha rakhi
thi , chori chori
unki nazme bhi to padh
ate thei yaha
waha ....., jo cheese unhe dil se paansd , woh humei jaan
se zyada azeez.....unki pasand
ke gaane unke
sher ,kitabe , filme
, unka nazariya , unki
soch ....bina soche
samjhe sab manzoor
humei .....Shehzaade saleem
jo hai humare
ghar ke . Sahi
Galat ka khoob
ilm tha unhe ,kuch bhi
najayaz gawara nahi
unhe .. VIKRAMADITYA KI TARH
VIRAJ JAATE THEI EKDUM SINGHASAN PARR...
ANGAD KI TARAH PAIR
JAMAKAR... ...pura Tivedi khaandan
vaara jaata hai
unpar 6’ fit
uchai , dil mein
gehrai , gore , sundar , suljhe
, shant ,sambhrant
soumy ,jiase kisi
kamal ki trah ,
kamal bhi aisa
waisa nahi sahastra
dal kamal......100/100 daswi
ki science mein,
aur 100/100 bharwi
ki bio mein
ye score card
tha unka ...sach
....fatak se MBBS mein
dakhila phir kya
...phir M.D , D. M Nuerology ,filhaal
bhi kuch padh
hi rahe hai , koi fellow ship
shayad....strokes vistrokes par.......
Humei
aaj bhi yaad
hai ..... ghar ke chote
mote kamm hum
teeno bhai behno mein
bate gaye thei , magar
batwara tha najayaz,
napak ,nagawar, unke hisse
mein sirf do
hi kam cooler
mein paani , aur channel
par taala , karahte ...
bilakhte kar hi
lete thei ye
do kam , teesra
kabhi nahi...Goa mein
MBBS ke douraan ghar
aane se pehle
hi phone parr .....”mummy aane
ka mann to hai
...par mann nahi hai
“ “kyuuuuu? “ “woh cooler na...” “
nahi tum bass
Aaa jao . ye dono
karengi na sab “
hum bhi to
peeche se bol hi
dete thei ... khoob
soch samajh kar
hi aanaa bhaiya
....warna mat aana.
Pata
hai ? jab bhi
kuch pucho
humeshaa galat salat hi
bataate thei....hum to
kabhi na puchte
parr kya kare
khud ko kuch
aata jaata nahi
tha aur unhe
tha .. sab kuch pata
......Tareekh, jugrafiya angreji , hindi , vigyan, hisab (upanyaas ki
trah padhte theii gadit
bhi woh, ) rasayan ,
bhoutiki , manav shstra
dharmshastra , niti shastra
sab kuch aata
tha unhe . yaha tak
ki urdu pharsii
bhi...aaj bhi aata
hai , ab
bhi atakte hai jab kahi
to unhi
se puchte hai....magar
ab baat juda
hai thik thik
bataane lage hai sab ,
darr gaye hai
lagta humare ubharte
gyan se....mazak...hai to
tabeeb( doctor) peshe se
parr ek shayar ka dil
dhadakta , seene
mein... jaante hai hum
Magar
jab jab zindagi
ke samundar mei bhawar,
lehrein toofaan ya tsunami ,aata hai na
... to sahil ho
jaate hai..... bahut
yaad aate hai ...
door chale gaye
hai .....hum sab
se ......door desh
Canada mein rehte hai
.... humesha behtar se
behtareen , insaan banane
ki koshish karte hai
humei housla hai humara.... parr aaj
ye sab jo likha
kisi aur ki houslaafzaai
se........ saalgirah hai aaj
bhaiya ki isiliye ..... ... ye sab............HAPPY BIRTHDAY
BHAIYA .
wonderful.............dis one is truly loveable, could feel your deep affection for your big B.
ReplyDeleteMay God Bless U Both !