Search This Blog

Wednesday 18 September 2013

Na koi chah hai na koi aas hai

>na koi chah hai na koi aas hai
phir yeh dil kuon udas hai
kuch to raaz hai
kuch to baat hai
jo mai nahi janti, samajh nahi pati
anjaane mein kayas lagati hu
har baar maat khati hu

>
mai khud se khafa, hu meri khud se ladai hai
khud se naraaz hu, khud ko nagawar hu
maine mera hi dil toda hai, kahi ka nahi choda hai
ab mai hi mai ki dushman hu, mujhe khud se ladna
ya to khud ko bujha doongi ya khud hi bujh jaungi
kyon na mai khud ko mana lu, nahi to phir shikast paungi
magar ab ye aur na hoga, mujhe ab mujhe ladna hoga
apni khamio aur lalach ko aur nahi chipaungi
mai khud ko haraungi,phir khud se jeet jaungi
mai khud se mil jaungi, sabhi khwahisho ke upar nikal jaungi
parinda ban jaungi
tabassum ho jaungi
pata nahi mai sab kab kar paungi
kuch pata nahi............


No comments:

Post a Comment